suraj dhalne tak

Share

kis shokhi-e- rang mein doobi hai jawani,

sab sach lagta hai ,

sab haq lagta hai,

her kali se ummeed,

her phool pe mannat hoti hai,

her subh suhani,

her khatra mol leney ko jee karta hai,

aur phir peeri dabbey paoon se,

zindagi daboch leti hai,

her kona thamey,

chaadar charo orh lipat jati hai,

raaz aur kahaniyan apni aghosh mein liyey,

chehrey ki silvatein,

aur hathon ki larzish,

aur gham e zamana,

tag o doh zindagi ki dor ki,

aur milney ki chaahat,

yeh bhee aur woh bhee,

sab be maani,

sab nakli tasaliyan,

kyunki  jab siyah badal,

umeed key khokley jism pe,

bina barish kiye laut jaein,

aur dhundley pul pe kadam dagmagaein,

tu ankhein moondein,

bina saharey chalna seekho,

khud pe bharosa,

apney wujood ko tatolo,

aur kismet ki rahon mein,

ek bazi tumhari hai,

khelo,

suraj dhalney tak,

fasana-e-hayaat jo samaj sako,

tu samajh lo…

 

 

 

 

 

 

 

1 Comment

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *